Warning !! Please Don't Pay For Any Audition Fake?
Use Script for Self Audition & Practice Download Script

Most Important Things in Self Introduction at Studio

Most Important Things in Self Introduction at Studio

Jab Aap kisi Production House ya Studio me Self Introduction Start karte hai to aapko bahut sari bato ka dhayan rakhna padta hai... 
aapko kin kin bato ka dhayan rakhna padta hai wo ham aapko es article me batayenge ki self Introduction me kin kin bato ka dhayan rakhna hota hai or aapse self Introduction me kya kya pucha ja sakta hai.
Aap jab Self Introduction dete ho kisi studio ya Productions House me to aapko khud par Confidence hona chahiye, or Normally Smile ke sath aapko apna Introduction dena hai, Aapka mind us time ekdm Shant hona chahiye.

Aap kahi Introduction/ Audition dene jaye to pahle home par uski teyari karke jaye tabhi aap sahi tarike se waha confidence ke satg Intro Audition de payenge, or aapko waha words and Language me bhi koi Probalams nahi hogi.

Aap apna Introduction video usi Language me dijiye jisme aap Comfortable ho, ya aapko jis Language me Introduction dene ko kaha jaye us Language me Introduction deve. Audition and Introduction to Sabhi dete hai but unme se bahut hi kam people's Shortlisted ho pate hai. Aapko apna Introduction thoda hatke Dena padega, hamara matlab ki aapko ache se Prepare hoke confidence & Smile ke sath Introduction dena hai, taki aapka kuch impression Casting team par pad sake. Introduction ya Audition aisa de ki aap Casting Director ki najar me rahe tabhi to aapko wo Shortlisted karenge or Audition ke liye bulayenge.

Every Introduction Me Name, Age, Height, Current City, Hometown, Hobbies, Work Experience ye bolana to important hota hi hai. Lekin Eske alswa bhi kuch bate Casting Director aapse puch sakte hai jo aapko Introduction room me jane se pahle bata Diya jata h ya on the spot Introduction me bhi puchh sakte hai.
Eske alawa aapse Casting Director or bhi kuch Questions puch sakte hai jisme aapse pucha ja sakta h ki aapne training kaha se li hai, Aapke Achievement kya hai, contact no wagera bhi aapko Introduction me bolna hota hai. or last me aapko left & Right Side Profile bhi Smile ke sath dena hota hai.

How to Make self Introduction Video

To Friends Aapko Studio ya Productions me Introduction ho to ye bolna hota hai.
Speak in Introduction : Name, Age, Height, Contact No, Current City, Hometown, Hobbies, Work Experience, Skills

Ye sab Introduction me bolna hota hai sabhi ko, eske alawa aapse Achievement, Training other bate puche tabhi aapko batana hai, nahi to aapko jyada kuch nahi batana hai.

Agar Apne bare me ya hobbies wagera puche to aap bata sakte hai ki mujhe start se hi Acting ka shouk Raha or junun raha hai ki me ek acha actor banu, muje driving or Swimming Bhi aata hai, Gane sunana mujhe bahut acha lagta hai, Aksar khali time me main naye purane gane sunta /Sunti hu or Alg alg Character pr Acting karta/karti hu.

or Experience wagera me aap apne kiye gaye works, Internship, Theater wagera ke bare me bata sakte hai ki mene etne time theater kiya hai, ye tv show me es Character me work kiya hai. 

Es parkar aapko apna self Introduction vidoe dena hota hai. 
Aap koi Galat information nahi deve Introduction me aap wahi baaye jo ekdm sahi ho, Aapko jo jo aata hai wahi aap bataye, agr aapko Driving, Swming wagera nahi aati hai to aap Introduction me eska jikar nahi kare. 
Agr aapne theater kiya hai to aap eske bare me short me bata sakte hai ki aapne kitme time or kitne show play kiye hai or theater konsa tha esase jyada nahi tabhi bataye jab aapse or pucha gya ho eske bare me nahi to rahne deve.

Aapne Apne School ya College me koi play ya program kiya hai to wo yaha nahi bataye Qki yaha ye chize koi mayane nahi rakhti hai.

En Sabhi chizo ko, bolne ki practice wagera sab aap ghar par Prepare karke Introduction dene jaye, jaldbaji  me aap koi Introduction Audition nahi deve, aaram se confidence ke sath hi Introduction Audition deve.

aap ghar par Prepare hoke jaoge tabhi waha ache se Introduction de paoge Confidante ke sath. Aapki Story Telling achi honi chahiye matlab ki bolne ki style achi honi chahiye, aapka Introduction lene wala bore nahi hona chahiye jabki aapse kuch or puchne ke liye jigyasha honi chahiye Casting Director ko. 
aapka Introduction acha tabhi hoga jab aapki body language achi or story telling me jaan hogi. 
Yaha Body Language ka matlab ki Aapke Words Ekdm sahi ho or bolne ka andaj bahut alag hona chahiye l. yaha aap galat Language or Wrong Words ka Use nahi kare, esase aapki image par wrong effect hota hai.

Aapki Jitni Ruchi Introduction dene me hogi utni hi Ruchi waha aapka Introduction lene wali ki hogi.
Aapka Audition Introduction khatam home ke bad aap chalaki se apne upar Impression ya unko apni or aakirshit kar sakte hai, ki sir mene pahle ye play waha waha kiye the, Usnki News wagera bhi aayi thi, Aapne sayad dekhi hogi news, mene es Serial me ye role kiya tha, waha team ke sath kam karke bahut acha laga. es parkar aap unko apni bato se apni or aakirshit kar sakte hai. aap ye bhi kah sakte hai ki sir muje advancer bahut pasand hai, main har time kuch new karne me believe karta/karti hu, muje alg alg Character or kuch new karna bahut pasand hai. 

Aapko Bat chit me ye bate nahi bolna chahiye. 
ye bahi nahi bole ki sir me garib hu, ek poor family se belong karta hu, mujhe koi Acting ka kam de do  chhahe koi bhi role ho main achi Acting karunga,  mene bahut se Audition diye hai lekin kabhi bat nahi ban payi, aisa kabhi bhi kahi nahi bole.
Aisa aap kahi bolenge to pakka aapko koi kam nahi dega, koi Select nahi karega, Qyunki yaha only Talent ki Kadar ki jati hai, agr aap es traha rona rouge to aapki koi nahi sunega.  Aise me Casting Director yahi sochta hai ki ye mind free Artist nahi hai.

Casting Director ko aisa Actor/Artist chahiye hota hai jo unke Role/Character me me ache se fit ho jaye or wo tension free or achi Personality hona chahiye...

Writing By : RK Prajapati
Articles © Copyrighted by WoB Film Studio
www.wobcasting.in
Declaimer
Please Dont Pay for any Audition. All the Audition Updates are Collected from Various Sources and we Don't have any Direct connection with them. Hence the Genuineness of the Updates cannot be Authenticated, you are Requested to Contact Them at your Own Discretion. We are Posting Audition Update to HELP you. Sometimes some updates may be Repeated.

Join Online Free Acting Modeling Workshop

Join Online Free Acting Modeling Workshop
Join Free Acting Modeling Course by WoB Audition

Latest Audition Requirements

Latest Script Monologues