Warning !! Please Don't Pay For Any Audition Fake?
Use Script for Self Audition & Practice Download Script

Actor Banana Hai to Kya Aap Director ke Actor hai

Actor Banana Hai to Kya Aap Director ke Actor hai


Lagbhag Sabhi Aaj ke Youngest Actor-Actress Banana chahte hai, Jab log unhe 'O Mere Hiro' ya kisi Girl ko 'Heroin' bulane lagte hai, Tab to unke man me laddu Futne lagte hai. Unhe Ye Guman Hone Lagta hai ki Wo to sach me Hero ya Heroin hai.



Bas Ab koi Director unhe kam de de to fir wo usme aisi Acting Karenge ki log unke diwane ho Jayenge, Fir to Har Tarf apna hi jalwa..... charche hi charche honge....... 

Jara Thahariye... stopped...
Sapna Jarur Dekhe, lekin aapke Pav (Legs) Hakkikat ke dharatal par honi chahiye, Bade Camera ke samne to Bade Bade TiKtoK Star ki bhi Pent Gili ho jati hai...

Aap Thode Thandhe Dimak se Sochiye, Agar aap aisa sapna dekh rahe hai, to Lagta hai aap Acting ko apna career banane ki. Jaise koi Doctor Banata hai, Engineer Banta hai, Ya fit Manager, CA, Businessman, Civil Officer, Teacher banta hai, Wese hi aap Actor banakar es field me Apna Career banane ki soch rahe hai. 

Jo bhi Pesa (Field) aap choose karte hai, us field me aapko knowledge & experience banane me kam se kam 4-5 Year to lag hi jate hai. Aap sabko pata hai Time lagta hai, Pesa (Money) lagta hai or ye ek Normal si bat hai. Esi Tarha Photographer, Cinematographer, Choreographer, Effect & VFX Designer, Video Editor, Makeup Artist, Fashion Designer etc. Banane ke liye bhi Kafi time tak ye sab sikhna padta hai. Sayad ho koi aisa hoga Jo ye sab Bina Sikhe, UnTrend Professional Banana Chahega.


Kyunki Bina Sikhe use wo Aatamvishwash, Wo Knowledge, Kam me Safai or Usme Maharata Hansil nahi ho sakti hai, Jo bhi Trent Professional me Hoti hai wesi. 
Ealiye Har Field me kam karne wale log pahle trend hone ko bahut jaruri mante hai. 

Lekin Only Acting ek aisa Field hai jaha aap jyadatar log bina kuch sikhe, Bina knowledge ke hi khud ko Paramgat Samajh lete hai. (Real me Unki ye bahut badi galatfaymi) hai. unko lagta hai ki acting me kya hai.... Laiye.... Script Dijiye... Ham abhi karke dikhate hai. Aapke hath kuch bhi laga to aap wo krke dikha doge, Aap to kaise bhi karke, kuch bhi karke kesa bhi Acting kr dege, Lekin eska matlab ye nahi hai ki Wo cinema me aane ke layak bhi hai. Kyunki Cinema ki Acting bahut technically hoti hai, Cinema ki ek Apni bhasha (Language) hoti hai.

Director hi fix karta hai ki kya dikhana hai or kaise dikhana hai. esliye Cinema Director ka madhyam hai, Actor ka nahi. yaha aapki marjo mahi chalti hai. Ek Actor ko to Director ke acording hi Acting karni padti hai. Shooting Set par wahi Acting chalti hai jo Director karwana chahta hai. Esliye Director kya karwana chahta hai, Es bat ko director ke esare me samajh lena hi Professional Actor ki Pahchan hoti hai.

Cinema ki Acting me kai Technical Pahlu hote hai, en par bhi aapko khara utarna hota hai. tabhi jakar aapka shoot ok ho pata hai.  Aap Director ke Actor tabhi ban sakte hai, Jab aap unki upeksha par khare utarte ho.


Dhayan Dijiye, Set par Koi Director aapko sikhane nahi baithega, Ulta waha agar aap dhang se Acting nahi kar pa rahe hai, Aapka Performance acha nahi ho to aapke Kam nikal diya jayega or aapke sath aapko Select karne wale Casting Director ko bhi tana sunane ko milega, yaha tak ki us Casting Director ki payment bhi roki ja sakti hai, eslliye Casting Director bhi perfect Actor, Actress ko hi Select karte hai, Aise me agr us Actor-Actress se agr sahi Acting mahi ho rahi ho to Usi time kisi or Professional Artist ko bulakar kam nikala jata hai, or kharab performance dene wale actor ko set se bahar nikal diya jata hai. 

Ek Film ya Serial banane me Carodo (Millions) Rupees or sabhi ki Mehanat Dav par lagi hoti hai, Waha set par ek ek minutes kimti hoti hai. Aapka ek Retake hi Km se km 10-12 Thousand Rupees ka Nukshan kara deta hai. 

Jara Sochiye, Agar Aapki Acting Achi nahi hai, Aapko Knowledge nahi hai, Or set par aspka bar bar Shoot cut ho raha hai, Retake pr Retake ho rahe hai, to Sochiye aap Producer ka kitna nukshan kar rahe ho??... Lekin Honsiyar Koi Producer/Director Etni Nobat Aane hi Nahi Dete hai. 
Wo Casting Director ke dwara aise Actors/Actress ko choose karte hai, Jinhe Apna Kam (Acting Karna) Ache se Aata ho.

 Esliye Professional or Trent (Jinko Km se km Basically knowledge to hona ho chahiye) unko or Theater Artist ko 1st chance diya jata hai. 

Esliye Agr aap Acting ko apna career banane ki soch rahe hai to Sidhe Set par jane ka sapna or Koi Aapko Direct Chance de aisa sochne ki wajay, Pahls kuch sikh leve, km se km Basically knowledge to le hi leve... nahi to aap waha khud ko perfect sabit nahi kar paoge....

Written by : RK Prajapati
Copyright © : WoB Film Studio
www.wobcasting.in
Declaimer
Please Dont Pay for any Audition. All the Audition Updates are Collected from Various Sources and we Don't have any Direct connection with them. Hence the Genuineness of the Updates cannot be Authenticated, you are Requested to Contact Them at your Own Discretion. We are Posting Audition Update to HELP you. Sometimes some updates may be Repeated.

Join Online Free Acting Modeling Workshop

Join Online Free Acting Modeling Workshop
Join Free Acting Modeling Course by WoB Audition

Latest Audition Requirements

Latest Script Monologues