Warning !! Please Don't Pay For Any Audition Fake?
Use Script for Self Audition & Practice Download Script

How to gave perfect audition at Studio and Production House

        Audition to sabhi dete hai lekin Freshers ko nahi pata hota hai ki ek Perfect or professional Audition kese dete hai, Or kuch ko pata hote huye bhi wo bahut si laparwahi kar dete hai. Aap sabhi sochte hai ki hame bas ek chance milna chahiye uske bad aap kuch bi kar sakte hai, Aapko Lagta hai ki aap har trha ki acting kar sakte ho aapka to aasani se selection ho jayega, to ye aapme over confidence hai. Aapme Confidence hona chahiye lekin over confidence nahi hona chahiye. 

           Es Article me aapko Audition se related Important tips and knowledge diaya jayega. Article ko pura read kare.
        Audition dene aap jahan bhi jate hai to usase pajle aap us audition ki puri jankari le leve ki audition kiske liye ho raha hai, movie, Bollywood Film, Webseries, Albums, Print Shoot ya Kisi TV Serial ka. Kiske liye Audition ho rahe hai or koun Casting Director ya kounsi Casting Company hai jo aapke Audition Le rahe hai. Ye sab aapko Audition Room me jane se pahle pata hona chahiuye.

             Kuch aise bhi Artist hote hai jo Audition Room me jake puchte hai ki Audition Kis ke liye ho rahe hai, Audition room me jane se pahle aapko sab jankari honi chahiye. Agar aapko Audition ki jankari nahi hai to aapko audition place par jake pahle audition kiske liye ho raha hai, Audition se related puri jankari aapko hona chahiye.

           Aapko Audition or Casting ki Process bhi pata hona chahiye. Audition me hamesha Normal Clothes hi hote hai, Audition me Chamkile kapde pahankar kabhi nahi jave. Ya Audition ke liye pahale se koi Dress Code diya gya ho wo dress pahankar aapko jana chahiye.

        Sabhi Auditions ke liye pahle se Time fixed hota hai usi time me audition hota hai. Aap Audition dene ja rahe hai to Audition Place par Time se pahunche. Aap ghar se sahi time par nikale or audition place par pahunchkar script leve, script ko yad kare, scene ko samajhe. Audition dete ho to aapko ye janana bahut jaruri hai ki script kya hai, scene kese karna hai, story kya hai, kese bolna hai eski jankari lena aapke liye bahut important hai.
          Script Milne ke bad aap scene, story ki jankari leke us script ke according prepare ho jaye. Script ko yad kare or aapko kese acting krna hai us pr thodi gahrai se dhayan deve. Faltu main hi apana time nahi gawayen.

             Kuch Artist aise bhi hote hai jo wahan Audition Dene aate hai, Wahan pr koi jan-pahchan ka ya pahle kahi sath me audition diya hua artist mil jata hai to uske sath gappe marne lag jate hai. wo unko puchne lag jate hai ki aapne us jagha audition diya tha koi kam nahi bana kya, aapko abhi konsi script mili hai, aapki teyari kesi hai, aapko ye karna chahiye wo karna chahiye...... aise bate karte karte sara time nikal jata hai or jab tak audition ki bari aati h tab usko script wagera dhayan nahi hoti, or qki wo gappe marne me busy the, Unka prepare hone or script yad karne ka pura time nikal jata hai. Aap script or scene ko sahi se samajh nahi pate ho, to bina teyari ke audition kharab hi hona hai. Fir wo artist kahte hai ki selection nahi huya.

             Audition ke Liye aapko jab audition room me bulaya jata hai to wahan par aapka confidence bana rahna chahiye, Audition room me jab bulaya jata hai to aap audition room me jake camera ke samne ache se khade ho jaye. aapko audition start karne ka kaha jayega to aap ache se us script ke aadhar par apna audition deve. Audition me aap sabse pahle apna chota sa intro deve uske bad aap audition shuru kare. Intro aap usi language me deve jisme aap comfortable ho. or Audition aap usi language me deve jis language ka aapko kaha gya ho. Kuch artist dusre artist ki nakal karna suru kar dete hai ki usne English me intro diya hai to main bhi English me hi intro dunga, ya usne marathi me intro diya hai to main bhi marathi me intro dunga. Aap Impression ke chakkar me apna Audition bhi kharab kar baithte hai, Aapka Performance bhi kharab hi hota hai. Aisa kabhi nahi kare aaapko jo language suitable lage usi me aap intro deve. Aapko english achi ati hai to aap english me intro deve, nahi to aap hindi me intro desakte hai, agar aapse experience ke bare me puche tabi aap apne piche kiye gaye projects ke bare me bataye warna nahi bole, ony short intro ke bad aap Audition suru kare.

          Audition dene ke bad aap turant us Production House ya Audition Place se nikal jaye. Waha par ruke nahi. Wahan par ruke nahi, Edhar-Udhar ghume nahi, Casting Team ko jake ye nahi puche ki aapka selection ho jayega ya nahi, aapaka audition acha hua ya nahi hua. Kuch Artist aise hote hai jo wahi par aaye other artist ke sath gappe marne me busy ho jate hai, Wahan kuch aise bhi Artist aapko mil jayenge jo pahle bhi aapko kisi audition me mile honge, to unke sath baith ke gappe nahi mare, ya Kuch aise bhi hote hai jo us place ke eardh girdh ghumte rahte hai jab tak sare chale nahi jate tab tak wo wahi ek bhanware ki tarha mandrate rahte hai. Aap Aisa nahi kare, Production House ke eardh Girdh ghumne ya waha par jyada time spent karne se aapki Image pr pura effect padta hai ki aapko time ki koi kadar nahi hai, Aap nalle ho.

          Audition Place par aap sahi time par pahunchte ho to aapaka audition ke liye jaldi no. aa jayega or aap jaldi hi audition deke free ho jaoge. Us place par audition dene ke bad turant us Audition Place se aap nilkal jaye. Agar aapke pas time rahta hai to Aas pas koi or Audition ho raha ho to aap wo Audition dene ja sakte hai, Lekin waha ruke nahi.

           Audition Deke ghar chale jaye or Audition deke use bhul jaye. Bar bar casting team ko call karke ya message karke unko disturb nahi kare. Audition lene wali team Audition hone ke bad sabhi video clips dekte hai or unme se kuch ko wo choose karke 5-7 dino me Call karte hai. Agar aapka selection hota hai to aapko contact kiya jayega team ke dwara. Or agr aapko 10 dino me koi call ya message nahi milta hai to aap ye soch sakte ho ki aapka selection nahi hua us Audition me.
            Aap Audition dete rahe. Kahi na Kahin aapka Selection Jarur Hoga.

        Audition dene aap jahan bhi jate hai to usase pajle aap us audition ki puri jankari le leve ki audition kiske liye ho raha hai, movie, Bollywood Film, Webseries, Albums, Print Shoot ya Kisi TV Serial ka. Kiske liye Audition ho rahe hai or koun Casting Director ya kounsi Casting Company hai jo aapke Audition Le rahe hai. Ye sab aapko Audition Room me jane se pahle pata hona chahiuye.

             Kuch aise bhi Artist hote hai jo Audition Room me jake puchte hai ki Audition Kis ke liye ho rahe hai, Audition room me jane se pahle aapko sab jankari honi chahiye. Agar aapko Audition ki jankari nahi hai to aapko audition place par jake pahle audition kiske liye ho raha hai, Audition se related puri jankari aapko hona chahiye.

           Aapko Audition or Casting ki Process bhi pata hona chahiye. Audition me hamesha Normal Clothes hi hote hai, Audition me Chamkile kapde pahankar kabhi nahi jave. Ya Audition ke liye pahale se koi Dress Code diya gya ho wo dress pahankar aapko jana chahiye.

        Sabhi Auditions ke liye pahle se Time fixed hota hai usi time me audition hota hai. Aap Audition dene ja rahe hai to Audition Place par Time se pahunche. Aap ghar se sahi time par nikale or audition place par pahunchkar script leve, script ko yad kare, scene ko samajhe. Audition dete ho to aapko ye janana bahut jaruri hai ki script kya hai, scene kese karna hai, story kya hai, kese bolna hai eski jankari lena aapke liye bahut important hai.

          Script Milne ke bad aap scene, story ki jankari leke us script ke according prepare ho jaye. Script ko yad kare or aapko kese acting krna hai us pr thodi gahrai se dhayan deve. Faltu main hi apana time nahi gawayen.

             Kuch Artist aise bhi hote hai jo wahan Audition Dene aate hai, Wahan pr koi jan-pahchan ka ya pahle kahi sath me audition diya hua artist mil jata hai to uske sath gappe marne lag jate hai. wo unko puchne lag jate hai ki aapne us jagha audition diya tha koi kam nahi bana kya, aapko abhi konsi script mili hai, aapki teyari kesi hai, aapko ye karna chahiye wo karna chahiye...... aise bate karte karte sara time nikal jata hai or jab tak audition ki bari aati h tab usko script wagera dhayan nahi hoti, or qki wo gappe marne me busy the, Unka prepare hone or script yad karne ka pura time nikal jata hai. Aap script or scene ko sahi se samajh nahi pate ho, to bina teyari ke audition kharab hi hona hai. Fir wo artist kahte hai ki selection nahi huya.

             Audition ke Liye aapko jab audition room me bulaya jata hai to wahan par aapka confidence bana rahna chahiye, Audition room me jab bulaya jata hai to aap audition room me jake camera ke samne ache se khade ho jaye. aapko audition start karne ka kaha jayega to aap ache se us script ke aadhar par apna audition deve. Audition me aap sabse pahle apna chota sa intro deve uske bad aap audition shuru kare. Intro aap usi language me deve jisme aap comfortable ho. or Audition aap usi language me deve jis language ka aapko kaha gya ho. Kuch artist dusre artist ki nakal karna suru kar dete hai ki usne English me intro diya hai to main bhi English me hi intro dunga, ya usne marathi me intro diya hai to main bhi marathi me intro dunga. Aap Impression ke chakkar me apna Audition bhi kharab kar baithte hai, Aapka Performance bhi kharab hi hota hai. Aisa kabhi nahi kare aaapko jo language suitable lage usi me aap intro deve. Aapko english achi ati hai to aap english me intro deve, nahi to aap hindi me intro desakte hai, agar aapse experience ke bare me puche tabi aap apne piche kiye gaye projects ke bare me bataye warna nahi bole, ony short intro ke bad aap Audition suru kare.

          Audition dene ke bad aap turant us Production House ya Audition Place se nikal jaye. Waha par ruke nahi. Wahan par ruke nahi, Edhar-Udhar ghume nahi, Casting Team ko jake ye nahi puche ki aapka selection ho jayega ya nahi, aapaka audition acha hua ya nahi hua. Kuch Artist aise hote hai jo wahi par aaye other artist ke sath gappe marne me busy ho jate hai, Wahan kuch aise bhi Artist aapko mil jayenge jo pahle bhi aapko kisi audition me mile honge, to unke sath baith ke gappe nahi mare, ya Kuch aise bhi hote hai jo us place ke eardh girdh ghumte rahte hai jab tak sare chale nahi jate tab tak wo wahi ek bhanware ki tarha mandrate rahte hai. Aap Aisa nahi kare, Production House ke eardh Girdh ghumne ya waha par jyada time spent karne se aapki Image pr pura effect padta hai ki aapko time ki koi kadar nahi hai, Aap nalle ho.

          Audition Place par aap sahi time par pahunchte ho to aapaka audition ke liye jaldi no. aa jayega or aap jaldi hi audition deke free ho jaoge. Us place par audition dene ke bad turant us Audition Place se aap nilkal jaye. Agar aapke pas time rahta hai to Aas pas koi or Audition ho raha ho to aap wo Audition dene ja sakte hai, Lekin waha ruke nahi.

           Audition Deke ghar chale jaye or Audition deke use bhul jaye. Bar bar casting team ko call karke ya message karke unko disturb nahi kare. Audition lene wali team Audition hone ke bad sabhi video clips dekte hai or unme se kuch ko wo choose karke 5-7 dino me Call karte hai. Agar aapka selection hota hai to aapko contact kiya jayega team ke dwara. Or agr aapko 10 dino me koi call ya message nahi milta hai to aap ye soch sakte ho ki aapka selection nahi hua us Audition me.            Aap Audition dete rahe. Kahi na Kahin aapka Selection Jarur Hoga

www.wobcasting.in
Declaimer
Please Dont Pay for any Audition. All the Audition Updates are Collected from Various Sources and we Don't have any Direct connection with them. Hence the Genuineness of the Updates cannot be Authenticated, you are Requested to Contact Them at your Own Discretion. We are Posting Audition Update to HELP you. Sometimes some updates may be Repeated.

Join Online Free Acting Modeling Workshop

Join Free Acting Modeling Course by WoB Audition

Latest Audition Requirements

Latest Script Monologues